A reply in a Poem

2015

A guy in Facebook wrote this poem for which I tried to reply in a poem
AAPKI KAWITA

मन की हल्दीघाटी में राणा के भाले डोले हैं,
यूँ लगता है चीख चीख कर वीर शिवाजी बोले हैं,
पुरखों का बलिदान, घास की रोटी भी शर्मिंदा है,
कटी जंग में सांगा की बोटी बोटी शर्मिंदा है,
खुद अपनी पहचान मिटा दी, कायर भूखे पेटों ने,
टोपी जालीदार पहन ली हिंदुओं के बेटों ने,
सिर पर लानत वाली छत से, खुला ठिकाना अच्छा था,
टोपी गोल पहनने से तो फिर मर जाना अच्छा था,
मथुरा अवधपुरी घायल है, काशी घिरी कराहों से,
यदुकुल गठबंधन कर बैठा, कातिल नादिरशाहों से,
कुछ वोटों की खातिर, लज्जा आई नही निठल्लों को,
कड़ा-कलावा और जनेऊ, बेंच दिया कठमुल्लों को,
मुख से आह तलक न निकली, धर्म ध्वजा के फटने पर,
कब तुमने आंसू छलकाए गौ माता के कटने पर,
लगता है पूरी आज़म की मन्नत होने वाली है,
हर हिन्दू की इस यू प़ी में सुन्नत होने वाली है,
जागे नही अगर हम तो ये प्रश्न पीढियां पूछेंगी,
गन पकडे बेटे, बुर्के से लदी बेटियाँ पूछेंगी,
बोलेंगी हे आर्यपुत्र, अंतिम उद्धार किया होता,
खतना करवाने से पहले हमको मार दिया होता
सोते रहो सनातन वालों, तुम सत्ता की गोदी में,
शायद बची नही है ताकत, सिंघल, मोहन, मोदी में,
पर साँस आखिरी तक भगवा की रक्षा हेतु लडूंगा मैं,
शीश कलम करावा लूँगा पर कलमा नही पढूंगा मैं।
शिवम् मिश्रा जिला महासचिव
ब्राहम्ण युवजन सभा
.........................................Shivam

MERI PREETI UTTAR
Haldighati man ka sambhalo mere bhai
Rana ne lari jung matribhumi ki bhai
Unka irada nek tha nafrat nahi
Us bahubali ki bhawani bhi saakchi
Nafrat ki aag fadak rahi tere ye jo ankho mein,
Kya bhul gaya, kya likha hai ved purano mein.
Nafrat se na jeet sakega, nafrat ka samar ye.
Prem se bhuj sakega aisa nafrat ka dawanal ye.
Apne dharm ka sachai se palan karna hum bhul gaye,
Kal nahi aaj beta gun pakde, ye moorkhta hum sikha rahe.
Dhikhlao sanatan dharma kya hai unhe, dharm rakchak
Kyunki aaj sanatan dharma ke satta par baithe hai bhakchak.
Are bgwan ko surakcha ki jarurat kab se padi
Brahman ho kab se tumhari ye mati gayee mari.
Ithihas dekho, dharm hamara kab kab ladkhadaya tha
Kya sankrachary jaise rishiyon ne tab hatiyaar uthaya tha?
Ku-karm hum brahmano ne bhari kut-kut ke is dharm mein
Sudhar lana hoga purwajo ke galtiyon ka is janam mein.
Bhagwan ke parati dar nahi prem jagana hoga
Bachho ko upnishad aur ved padhna nahi samajhna hoga.
Chut-achut ka jhansa na de bhagwan ko us dalit ke ghar phunchao
Unchey sapne na dikha, na looto unhe, santosh ke phal se unke ghar laxmi lao.
Dikhao bhagwan ne budhi di hai puja se pani na ayegi,
Ekjut ho bahubal se dharni bhi ganga chalkayegi.
Sampatti aur laxmi ka moh chor panditya ka dharm nibhao
Niklo hey bharat sut apne arambhawan se apni maa ka jalan bujhao.
Bhuko de roti apne hisse ka de unki bhukh mitaye
Khud balidaan kar taki un garibo ke ansu bhi na tapakne paye.
Dekh kar hame wo nahi par hamari santaan garav kare.
Gun pakadne se pahle prem aur aatm balidan ka prachar kare.
Rakt bij sa nafrat aur prem dono hi janamta aur jad phaiylata hai
Par nafrat ki jade ghans jaisi aur prem vat jaisa phaiylta hai.
Paith banao us hridhay ke garbh mei sanatan dharm ki aisi
Kalptaru dharm ke amrit ka swad jo tumhe mil rahi aaj waisi.
Ye swad larai ki nahi, bhagwan ki prem basuri ki hai
Jo aaj nahi bajta kyunki, hum dwar se apno ko dhakelte hai
Hindu hote huye bhi jhoot aur chori bhagwan ke naam par karte hai.
Wo dekho Chatriya Bhumihar se lar raha, Brahman garibo ko lut raha
Kissan khet chod jhadu maar raha aur bachha ma se jatiwaad sikh raha!
Kyon lajjit ho Brahm putra? Uthao Ved aur sikhao sabko
Krisna sa sarthi bano is dharma ka karm ka path padhao.
Vishnu ne bhi kha janam ne wala har insaan shudra hai
Par karm se kyon nahi, apne janam par tujhpe ghamand hai?
Burai ka patan toh hota hi hai, khud hi uska wichar hoga
Par burai se bachne ka path parhao, hum nahi toh kal kaun hoga?
Richa ho ya Kalma ho koi bhi nafrat nahi shikhata bhai.
Bhasha ke anek rupo me bhagwan allah batein par hai wahi ekai.
Bhagwan ko kadul bhi kahte tamil mein tum iswar kehte ho
Toh Tamil-Hindu Hindu nahi hote tum isi chinta dhara ke dhare ho?
Ye bharat hai he araya
Sundar vistrit akhand atulaniya.
Sadiyon se anek rirti aniek bol anek dharmo ka samajog hai
Inhi sab ke sathya ki rah ka sar hi sanatan dharma hai
Dharan karne yog jo vedo ne dharm kaha
Kyon aaj tere bol dharan karne yog na laga
Bhai tum dharma se bhatke ho
Suni sunai baton mein atke ho
Bhatko ko rah dikhane ki jarurat hoti hai
Jo rah dikhaye wo hi yahan bhatak gaya hai
Brahman karm nibhao, sikhao jina bhakti bhao mein
Brahm gyan do us insan ko, devrupi aatma pehcanne mein.
Mishra ke ghar janam se hi na sochna tum Brahman ho
Karm se Brahman wo jo brhmh ki sar janta ho.
Saraswati jiwah pe aur hiradhay mein ho parmatma.
Sirf murat pujan se nahi ka nahi, karam se bono punyaatma.
Itna ghamand toh dadhichi ne bhi nahi kiya
Apna rir ki haddi satta premi indra ko diya.
Bhatke huye logo ko aur na bhatkao
Nafrat ki jwala unme aur maat bhadkao.
Jo bhatke hai bhai humare, hindutva jo chor gaye
Jano kyun wo humara tumhara dharma thukra kho gaye
Un lacharo ke durdasha ka dayil apno mein hi paoge
Koun rupaye ke liye garibo ko ulta path padhaya
Hindu hoke bhi nich kehke dushro hindu ko mandir se bhagaya
Are bhagwan to nich logo ke bhi the pyare
Brhman hoke use nij sampatty bola wahre!!
Ajj apne hi paraye ban baithe hai kal aur bane iski socho
Ab bhi waqt hai sanatan dharm ki veidic mulyo par vichar karo
Janam se nahi karam se jati bane
Tab dekho bhai is dharm ka rang kaise na duniya range……………….
Mere logo mein bahuton ko hindi nahi aati isliye hinglish mein likha. Ye mere soch hai jo Shivam ji jaise soch waleyn hai unke liye. Maaf kijiyega mere bol bado ka apman karti hai toh par ye katu sathya hamare hridya mein hai. Jabtak hum apne ko na badle tab tak nahi samjhenge. Kayar meine bhi Gandhiji ko sochatha par Bhagwat aur Vivekanand, Gandhi, Sankracharya, Gurugranth sheeb aur Quran ke kuch-kuch lekho ka adhyan karke meine apna waktaway rakha hai. Aaj yuwa ko padhna chahiye na ki kisi ke kehne par andho ki tarah wiswas, kyunki milawat ke jamane mein bol mhi milawati hoti hai so main apne pathako se anurodh karta hun bhawnaye galat disha mein maat badhayen padhiye jaaniye, aur agar fir bhi ayesi kawita likhte hai to apne paas rakhein. Kyunki duniya mein humare paas aise hi time kam aur tention jyada aadhe nafrat se pura prem hi accha hai.
(Manushya putra hun, manushya rahunga, dharm koi bhi ho us ek hi se milunga)

Comments

Popular posts from this blog

तेरा हूँ बाला

Yearning of Those Times

मन की मन से मन में